Gionee Revealed A1 With 16MP Selfie Camera and A1 Plus With Dual Rear Cameras

Gionee Revealed A1 With 16MP Selfie Camera and A1 Plus With Dual Rear Cameras


Gionee A1 And A1 Plus


Gionee ne jo vaada kiya tha usi prakar apna naya smartphone A1 aur A1 Plus ki ghoshna ki hai MWC 2017 par. In dono he devices ko jyadatar Selfie par dyan kendrit kiya gaya jisme aapko flash aur big sensors smartphone ke samne(front) baag par milenge. In donohe device me 1080p display milega aur yeh mobile run hota hai Android Nougat 7.0 par.

Gionee A1 Plus mey aapko 20MP ka selfie camera aur aapko dual rear camera milega, Ek 13MP rear Camera aur Doosra 5MP rear camera. A1 Plus Smartphone me aapko 6-inch (1920× 1080pixels) Full HD IPS 2.5D curved glass display milega. Isme aapko 2.5GHz Octa-Core MediaTek Helio P25 processor milega. A1 Plus me aapko 4GB RAM aur 64GB ka Internal Memory aur isse aap 256GB thak expand karle sakte hai MicroSD card ke madad se. yeh mobile run hota hai Android Nougat 7.0 par saath mey Amigo OS skin  iske top par. Isme aapko Fingerprint Sensor bhi milega iske saath aapko 4G LTE, Wi-Fi 802.11, ac /a/b/g/n, Bluetooth 4.1, GPS bhi milega. A1 Plus Device me aapko 4550mAh ki Battery milega isme aapko fast charging bhi support karta hai.

Gionee Revealed A1 With 16MP Selfie Camera and A1 Plus With Dual Rear Cameras


A1 ki baat kare toh isme aapko 5.5-inch (1920× 1080pixels) Full HD IPS 2.5D curved glass display. Isme aapko 1.8 GHz Octa-core MediaTek Helio P10 processor milega. Gionee A1 me aapko 4GB RAM aur 64GB Internal Memory aur isse aap 128GB thak expand karle sakte hai MicroSD card ke madad se. Gionee A1 mey aapko 13MP ka Rear Camera saath mey LED Flash aur 16MP ka Selfie Camera milega. Isme aapko FIngerprint Sensor bhi milega. Gionee A1 Device me aapko 4010mAh ki Battery milega isme aapko fast charging bhi support karta hai.

Gionee Revealed A1 With 16MP Selfie Camera and A1 Plus With Dual Rear Cameras


Gionee A1 aapko Gray, Black and Gold colors me available honge. Gionee A1 ki keemat hogi  349 Euros (US$ 369 / Rs. 24,630 approx) aur yeh March, 2017 me available honge. Gionee A1 Plus aapko Gray aur Mocha Gold colors me available honge aur iski keemat hogi 499 Euros (US$ 527 / Rs. 35,210 approx) aur yeh aapko April, 2017 se AVailable hoga.