Meizu E2 Announced with 3GB/32GB and 4GB/64GB with 3400mAh Battery




Meizu ne apna naya latest 'E' series smartphone "Meizu E2" ki ghoshna ki hai. Yeh device company ka latest smartphone hai who bhi 3400Mah ki battery ke saath.

Meizu E2 me aapko 5.5Inch(1920x1080) LCD display milega. Yeh device aapko two variants me milega, 3GB RAM ke saath 32GB storage aur 4GB RAM ke saath 64GB storage aur aap in dono he devices ko MicroSD card ke madad se apne device ka storage expndable karle sakte hai. Iss device me aapko Mediatek Helio processor jo ki ARM Mali T880 GPU ke saath milega.



Yeh device run hota hai Flyme 6.0 joh ki YunOS par adharith hoga.  Iss device me aapko 13MP ka front camera woh bhi Quad-LED flash ke saath aur 8MP ka selfie camera milega. Meizu E2 me aapko 3400Mah ka battery milega woh bhi fast charging ke sath jisse aapka device 30 minutes main 40% charge ho jayega. Iss Device main aapko Dual Sim slot milega aur isme aapko 4G VoLTE bhi support hoga.

Meizu E2 3GB RAM ki keemat hogi Rs.12000 aur 4GB RAM ki keemat hogi Rs.15000. Yeh device aapko three colors main labya honge Black, MoonLight Silver, Champagne Gold aur iss device ka pre-order aaj se start ho chuka hai aur iska sale 29th april se start hoga.