Mi Mix Nougat Update
Namaskar Doston,Aap sabka Android Hindi me swagath hai. Iss blog me hum aapko daily Android se sambandith saari janakari rojana apke liye leke ayinge.
Aak hum aapke liye leke aye hai Xiaomi Mi Mix Smartphone se sambandith kuch jaankari. Jeehan doston Xiaomi mi Mix jo China me Lauch hui thi uss Smartphone ko ab Android 7.0 Nougat ka update aane wala hai woh bhi bahuth jaldi. Ye update abhi toh Indian Market me abhi nahi aayega.
Consumer Electronics Show(CES) 2017 me apni shuruvaat karte huve Xiaomi ne apna Mi Mix White variant me launch karne wale hai.
Yeh Xiaomi Mi Mix Smartphone French designer Philippe Stark ke sahiyog se October me start kiya gaya tha. Yeh Xiaomi Smartphone Two Variants me launch hoga 4GB/128GB jiski keemat lagbagh Rs.34,500(CNY3,499) thak ho sakta hai aur 6GB/256GB iski keemat kareeb Rs.39,500(CNY 3,999) thak ho sakti hai.
Iss Smartphone ki kaas vishestha hai iski bezel-less display saath me Curved Edges aur 91.3 percent screen-to-body ratio. Yeh Smartphon aapko Ceramic Body se milega. Iss Mobile ki aur ek vishestha hai iski piezoelectric acoustic ceramic earpiece speaker, aur saath me aapko ultrasonic proximity sensor aur front-facing infrared sensor bhi milega.
Yeh Smartphone aapko 6.4Inch Display 1080x2040pixels aur 362 pixel Density ke saath 94-percent NTSC colour gamut ke saath aayega. Yeh Smartphone Quad Core Snapdragon 821 Chipset ke saath 4GB/6GB LPDDR4 RAM se markets me aapko dekhno ko milega. Aur iss Smartphone me aapko 16MP ka Rear Camera with Dual-tone LED Flash Aur 5MP Front camera milega.
Post a Comment